Monday, September 3, 2018

"ये कौन मेरे क़रीब आया" | अनवर नदीम (1937-2017)



हमारे माज़ी में जन्म लेकर वो एक लड़का जवां हुआ है
उसे ये ग़म है की उसने कैसे अजीब लोगों में आँख खोली
कोई बताए की बाप तेरा वफ़ा के नग़मे सुना रहा है
कोई बताए की तेरी मां भी प्रेम नगरी में गामजन है
कोई बताए की तेरी हस्ते कुछ ऐसे रिश्तों को छू रही है
कि जिन से पहले मिलन की किरनें फ़ज़ा को रौशन न कर सकी थीं
कहाँ इजाज़त मिली थी अब तक कि जाट लड़की की आर्ज़ूएँ
पठान हाथों का साथ लेकर वफ़ा की राहें गुलाब कर दें
कहाँ पठानों की सरज़मीं से वफ़ा का परचम उठा के निकला
महब्बतों का अमीन-ए-ख़ुशतर, लतीफ़ जज़्बों का एक पैकर
कहाँ सलामत-रवी की दौलत मिली है ऐसी कहानियों को
कहाँ क़बीले के दायरों में किसी ने ऐसा क़रार देखा
हमारे माज़ी में जन्म लेकर वो एक लड़का जवां हुआ है
उसे ये ग़म है कि उसने कैसे अजीब लोगों में आंख खोली
उसे तो मालूम है कि जाटों कि दिल कि धड़कन में बाप उसका
अजीब दिलकश मक़ाम लेकर, मिसाल-ए-उलफ़त बना हुआ है
तमाम दानिशकदों में उसकी अज़ीम मां की मिसाल अब तक
जला रही है जिधर भी देखो, महब्बतों के चिराग़ पैहम
ये कम नहीं है महब्बतों की अज़ीम दौलत का एक विर्सा
किसी की हस्ती को आबरू दे, किसी की राहों में फूल भर दे
मगर ये छोटी सी बात अनवर समझ का हिस्सा बनेगी कैसे?
हमारे माज़ी में जन्म लेकर वो एक लड़का जवां हुआ है
उसे ये ग़म है की उसने कैसे अजीब लोगों में आँख खोली !

- अनवर नदीम (1937-2017)

Yé kaun méré qarīb āyā 
Hamāré māzī méiṅ janm lékar vo ék ladkā javāṅ huā hai
Usé yé gham hai kī usné kaisé ajīb logoṅ méiṅ āṅkh kholī 
Koī batāyé kī bāp térā vafā ké naghmé sunā rahā hai
Koī batāyé kī térī māṅ bhī prém nagarī méiṅ gāmzan hai 
Koī batāyé kī térī hastī kuchh aisé rishtoṅ ko chū rahī hai
Kī jin sé pahlé milan kī kirnéiṅ fazā ko raushan na kar sakī thīṅ 
Kahāṅ ijāzat milī thī ab tak ki Jāt ladki kī ārzūéiṅ
Pathān hāthoṅ kā sāth lékar vafā kī rāhéiṅ gulāb kar déiṅ 
Kahān Pathānoṅ ko sarzamīṅ sé vafā kā parcham uthā ké niklā
Mahab’batoṅ kā amīn-é-khushtar, latīf jazboṅ kā ék paikar 
Kahāṅ salāmat-ravī kī daulat milī hai aisī kahāniyoṅ ko
Kahāṅ qabīlé ké dāyré méiṅ kisī né aisā qarār dékhā 
Hamāré māzī méiṅ janm lékar vo ék ladkā javāṅ huā hai
Usé yé gham hai kī usné kaisé ajīb logoṅ méiṅ āṅkh kholī 
Usé to mālūm hai ki Jātoṅ kī dil kī dhadkan méiṅ bāp uskā
Ajīb dilkash maqam lékar, misāl-é-ulfat banā huā hai 
Tamām dānishqadoṅ méiṅ uskī azīm māṅ kī misāl ab tak
Jalā rahī hai jidhar bhī dékho, mahab’batoṅ ké chirāgh pai’ham 
Yé kam nahīṅ hai mahab’batoṅ kī azīm daulat ka ék virsā
Kisī kī hastī ko ābrū dé, kisī kī rāhoṅ méiṅ phool bhar dé 
Magar yé chhotī sī bāt ‘Anwar’ samajh kā his’sā banégī kaisé? 
Hamāré māzī méiṅ janm lékar vo ék ladkā javāṅ huā hai
Usé yé gham hai kī usné kaisé ajīb logoṅ méiṅ āṅkh kholī

- Anwar Nadeem (1937-2017)


 
 

No comments: