Friday, August 10, 2018

Kya bhulu kya yaad karu

- Parvez Malikzada
Anwar Nadeem (22 Oct 1937 - 9 Aug 2017) ki pahli barsi par unko yaad karte huey.....








































































PART 1
Anwar nadeem sahab shaqs nahi shaqsiyat they, fard nahi anjuman they..........mere unse gharelu taalluqaat barso purane they wo mere walid ke bhi dost they aur mere bhi betakaluf dost, meri aur unki umr mein takreeban 30 saal ka faasla thaa lekin mai aur mere bahot se ham asr unke dost they.....
Guzishta 50 saal ki lucknow ki koi bhi adbi tareekh anwar nadeem ke zikr ke baghair puri nahi ho sakti, wo malihabaad ke ek mashhoor gharane se taalluq rakhte they aur unka rishta josh malihabadi se bhi thaa, wo mujhse kahte they ki malihabaad ka har qatil aur har maqtool unka rishtedaar hai......malihabad mein unke ghar ko mahel kaha jata hai...jisme bahot see mashhoor filmo ki shooting bhi hui hai, jisme shashi kapoor ki junoon aur umrau jaan ( nayi aur purani dono) nayi umrau jaan mein anwar nadeem sahab ne mirza haadi ruswa ka kirdaar bhi nibhaya thaa
Anwar nadeem sahab shayar, adeeb ,danishwar,khakanigaar, script writer, actor, sab kuch they asnafe sukhan ka koi bhi darwaza unpar band nahi hota thaa
Aap sabne dilchasp guftago karne wale to bahot dekhe honge lekin mera ye dawa hai ki unme anwar nadeem jaisa koi nahi hoga, jo unse ek baar bhi mil leta thaa wo unka mureed ho jata thaa....meri zindagi ka bahot bara hissa unki sohbat mein guzra unki yaad mera keemti sarmaya hai....
Husne akhlaaq aisa ki na kahi dekha na suna, jo bhi unke ghar gaya uski itni khatir hui ki poochiye mat, aap unke ghar gaye unohne aapko apne drying room mein baithaya aur bahar nikal gaye jaate huey bahar se taala bhi laga diya taaki rahe faraar ka koi bhi raasta aapko na mile jab wo wapas laute to unke dono haatho mein chaat aur mithaai, aap laakh kahe ki aap kam khayege khana aap ko utna hi parehga jitna unko khilana hai, chaat aur mithayi ke baad chai ke kai daur chalege aur fiza unki dilchasp guftago se roshan ho chuki hogi, agar aap apni sawari se aaye hai to theeq hai warna wo ek baar phir uthege aur aapke liye rikshaw lekar aayege aur kiraya bhi de chuke honge........maine khud unko jismani takleef mein ye sab karte dekha hai....haarnia ke mareez hai lekin operation nahi karwa rahe hai...maine ek baar poocha ki operation mein der kyon kar rahe hai to kahne lage ki mai apne haarnia ko paal raha hu.....ek baar takleef itni barhi ki mohalle wale uthakar hospital le gaye dr.ne kaha ki aapka marz bahot barh chuka hai kal aaye mai opretion karunga......wo kal 10 saal baad aaya phir jab le jaye gaye to jis dr ne opretion ke liye kaha thaa kamre mein uski tasveer lagi thee aur uspar haar parha huaa thaa.......
Anwar nadeem sahab ke m.a part 1 aur part 2 mein 20 saal ka faasla thaa....ye faasla kyon thaa iski wajah wo nahi batate they.....
Filmo ke deewane anwar nadeem sahab ko govt job se isliye hataya gaya ki wo noon show mein office ke kai loogo ko lekar film dekhne chale jaate they.......
Itna bebaak aur nidar aadmi maine apni zindagi mein doosra koi nahi dekha wo kaun see bari baat nazar andaaz kar de aur kis mamooli baat par naraaz ho jaye iski peshengoi koi nahi kar sakta. ۔...wo apne bare bhai se milne gaye bare bhai unse umr mein 20 saal bare they wo us waqt khana khaa rahe they unohne chote bhai ko dekhkar kaha aau anwar aau chaho to khaa loo.......chaho to anwar nadeem sahab ko pasand nahi aaya wo naraaz ho gaye aur kai saal apne bare bhai se nahi mile........
PART 2
anwar sahab ne apne bete navras ko ghar par parahne ke liye ek teacher ko rakha....15 din ke baad jab wo parhakar jane lage to anwar sahab ne ek band lifafa unko diya aur ye takeed ki, ki isko ghar par jakar parhyega...doosre din wo teacher nahi aaya mujhe jab ye baat pata chali to maine unse poocha ki khat mein kya likha aapne to unohne jo bataya usko sunkar mai der tak hasta raha...khat mein ye likha thaa..
Guru jee pranaan maine aapko is liye apne bete ko parahne ke liye rakha thaa ki aap se tameez aur tahzeeb bhi sikhega, lekin aap to khud betameez hai aap usko kya parahyege....aap jab baithte hai to koi mohazzab shaqs aapko dekh nahi sakta aapko yahi nahi pata ki insaan ko apna paier kitna failana chahhiye, aapka talaffuz bhi bahot kharaab hai....isliye kal se aane ki zahmat na kare...15 din parahne ke liye bhi aapko kuch nahi diya jayega........
Mujhe unohne bataya ki kal raat jab mai apne ghar pahocha to mere bistar par bahot saara loha rakha huaa thaa....maine kaha kya ? Batane lage ki bistar par unke bachpan ke doost ghulam rizvi gardish lete huey they....anwar sahab ne unko khana khilaya unka briefcase uthaya aur unse kahne lage ki aap yaha nahi ruk sakte gardish sahab hairatzada kahne lage mai itni raat mein kaha jaunga anwar sahab ne kaha mau laut jaye charbagh se bus ya train mil jayegi neeche aakar rikshaw kiya gardish sahab ka briefcase uspar rakha unko zabardasti baithaya rikshe wale ko bees rupaye diye usne kaha sahab ye kam hai, kahne lage isme jaha tak jaa sakte ho jau aur inko utaar dena........
Anwar sahab ke dost mushayro ke maqbool shayar.......ne kaha anwar mujhe 200 rupaye de do mushayre se wapas aakar lauta dunga...anwar sahab ne jawaab diya udhaar mai na leta hu na deta hu....mai ek kaam se aminabaad aaya hu aap mere saath chale anwar sahab unko lekar ek bari dukaan mein dakhil huey apne liye ek mahga briefcase kareeda aur usi tarah ka ek aur briefcase unke liye khareeda aur unko dekar kahne lage aap pure hindustan mein jis briefcase ke saath jate hai uski halat bahot kharaab ho chuki hai isko lekar jaya kare....
..... Ek sahab ke bare mein mujhse kahne lage ki jab tak wo baithe rehte hai bahot mohazzab lagte jaise hi chalne lagte bahot ghairmohazzab nazar aate hai....
Ek sahab unke ghar sherwani aur paint pahen kar chale gaye bas unki shamat aa gayi kahne lage apne ko aaine mein dekhiye bilkul.....kanmailiye lag rahe hai aap......
kai loog anwar sahab ke ghar par maujood hai qahqahe buland ho rahe hai ek sahab beech beech mein bahot zoor se boolte hai anwar sahab unse kahte hai ki kuch gharo mein chat par gumti pari hoti hai jo steel ki hoti hai aksar bandar uspar baithkar bharh bharh karta hai aap bilkul wahi role play kar rahe hai is waqt...
Ek baar mai unke ghar pahocha kahne lage aap bhi meri tarah nana patekar ko pasand karte hai...aaj uski film wajood ka aakhri din hai aap wajood ki bahot tareef kar rahe they chaliye sab saath film dekhege aur phir aapse film par baat hogi mai sahem gaya ki agar unko film pasand nahi aayi to meri khichai hona hi hai.....lekin film unko pasand aa gayi....
....ek baar subah subah ghar aa gaye kahne lage ki taiyaar ho jaye maine kaha kaha chal rahe hai....ye wo kabhi nahi batate they saath wale ko ki kaha ja rahe hai aur agar saath wala andaza lage le to jagah badal dete they.. ....mujhe apni scooter par baithaya scooter faizabaad road par barhti rahi...meri himmat nahi ki mai pooch lu raaste mein dilchasp baate karte rahe.....scooter barabanki station par jaakar ruki kahne lage yaha ki canteen mein chai aur bread makkhan bahot achche hote hai do ghante waha baithkar chai ke kai daur chalakar wapas aa gaye.....ye thee unki picnic jisme mujhko bhi maza aaya......
......aap sab soch rahe honge ki kal se mai sirf anwar sahab ka zikr kar raha hu unke ghar ke doosre loogo ka nahi..to aaiye ab unke chote se qunbe ka zikr ho jaye../...
Dr.manju sikharwar anwar nadeem sahab ki shareke hayat, teen subject mein m.a aur p.h.d....lucknow ke ek mashhoor post graduate college mein islamic studies ki h.o.d
Jinse anwar sahab ki love marriage hui thee...manju aunty ek purwaqaar khatoon jinki mai jitni tareef karu wo kam hai, unohne anwar sahab ki bimari mein tan man dhan se jo sewa ki wo koi bhi khatoon nahi kar sakti.....
Dr. Navras jaat aafridi anwar sahab aur manju aunty ki eklauti aulaad,apne research work ki badaulat ek jaana pahchana naam duniya ki mumtaaz university mein lecture ke liye bulaye jaate hai..mere chote bhai ki tarah hai........
Phir lautte hai anwar sahab ki taraf......unohne bhi mere mohalle mein plot le liya aur manju nishaan( unke ghar ka naam) ki tameer shuru ho gayi...koi unse milne waha jata to waha bhi uski khatir tawaazo shuru ho jaati chai samosa aur rasgulla sirf unke aur mehmaan ke liye nahi aata balki plot par kaam karne wale sabhi mazdooro aur misteriyo ke liye bhi aata chahe din mein das baar aaye. ....mazdoor ka pasina sookhne se pahle unki mazdoori de dete.....manju nishaan ki tameer mein sirf chaai aur nashte mein hazaro kharch huey.......aise they mere anwar uncle.....
Aur jab manju nishaan bankar taiyaar huaa to loogo ne dekha ki ghar ke andar ek bahot khoobsurat aur bara paththar laga hai jisme kuch khaas majdooro aur mistiri ke saath un loogo ka bhi shukriya ada kiya gaya jinohne makaan banne mein maali madad ki, ek mukhlis parosi ka bhi zikr hai......
Yahi wo zamana thaa ki imkan wajood mein aaya walid sahab aur meri khatir anwar nadeem sahab imkan se jurh gaye.......aap yaqeen nahi kareinge ki unohne urdu ki mahabbat mein kya kya kiya......malihabaad mein unohne 50 se zeyada kharidaar banaye aur har mahine mere saath imkan aane par malihabad jaate aur sabko apne haath se imkan dete.....daak se nahi bhejwate they.....lucknow mein bhi unohne aminabaad aur nazirabaad ke bahot se urdu parhne wale dukaandaro ko imkan ka kharidaar banaya.....ek baar wo ghar aaye mai aligarh muslim university ki old boys lucknow ki magazine parh raha thaa jisme lucknow ke members ka pata likha thaa mujhse kahne lage gaarhi nikaaliye aur 25 imkan rakh lijiye.....unsab ka darwaza unohne khatkhtaya jineh na wo jaante they na mai....ghar ke bahar jo nikalta usse kahte ki kya aap apni maadri zabaan ke liye 200 rupaye nahi kharch kar sakte aur apni dilchasp guftago se loogo ko mutaassir kar lete, us shaam imkan ke 20 kharidaar bane........
Lekin..........lekin
Anwar nadeem sahab ki nasr se loogo ka dil bhi bahot dukha hai.. . .wo jisko jo chahte kah dete, likh dete .......
Nigaar azeem ki afsaanvi majmue par likhte huey unohne lucknow ke do senior afsananigaaro ko mashwara diya ki wo nigaar azeem se seekhe ki afsana kaise likha jaata hai........
Urdu ke ek mashhoor shayar ke bare mein unohne likha ki unko unka siyaah hona nahi pasand hai, j.n.u ke ek retired prof.ko unohne rasik likha prof ne 16 page ka mazmoon anwar sahab par likha aur gaali galauj par utar aaye abbu ne unka khat imkan mein nahi shaya kiya.....
Mere drying room mein ek buzurg ke paaer hilane par unohne kaha ki suna hai jo loog dono paaer hilate hai wo sex bahot karte hai....mai to fauran bhag liya waha se........ek aur sahab ki achchi yaaddasht ki tareef ye kahkar ki jo loog zindagi mein wo....kaam nahi karte hai unki yaaddasht achchi hoti hai........mumbai ke buzurg ko dekhkar unohne kaha ki aap ko dekhkar kotha yaad aata hai kya aap mujra sunne ke shaukeen hai......
Kal maine likha thaa ki anwar nadeem jaisa nidar aur bebaak shaqs maine koi doosra nahi dekha mai apni us baat par hamesha qaem rahunga......mere paas unpar likhne ko abhi bhi bahot kuch hai......lekin ungli ab saath nahi de rahi hai rekhta par anwar nadeem sahab ka qalaam maujood hai isliye yaha nahi likh raha hu.......
Pichle saal aaj hi ke din isi waqt anwar nadeem sahab ke aakhri ghusl ki tayyari ho rahi thee isha baad wo usi qabristan ke hawale kiye gaye jaha mere walid pahle se unka isteqbaal karne ke liye maujood they ......
...........RAHE NAAM ALLAH KA.......
 
The author can be heard presenting this essay here.


3 comments:

Unknown said...

Parvez Bhai Adab
Main is waqt office me hoon aur mujhe lagatar hanste aur muskurate dekh kar kai log mere desktop ki ek sarsari nazar daal ke jaa chuke ... maine unke chehre ki taraf dekha bhi nahi ki kya radde amal aya hai...bas is poora mazmoon ko padh lene ki sanak sawaar rahi ..
mujhe lagta hai itne dilchasp insan ko sirf chand panno me sametna zyadati hai, aise kirdar pe ek Novel wujood me aa sakti hai .. main Anwar sahab se bilkul hi nawaqif tha lekin apne jitne dilchast tareeqe se taarruf karaya, unki shakhsiyat ki ek khoobsoorat painting mere zahen ki diwaar pe taag di .. jo lambe waqt tak maujood rahne wali hai.. lekin jo sabse ahem baat rahi wo ye ke unko dekhne wali nazer kitni kitni khoobsoorat thi .. Parvez bhai aaj aap mujhe bilkul alag se lage .. lehaaza andaza hua ki kisi kishakhsiyat ko ekdam se pahchan lena aasaan kaam nahi ... bahot saari mubarakbaad hai aap ko .. bada hi dilchasp raha adndaz-e-bayaan
Allah Hafiz
HASAN SONBHADRI

Anwar Zaidi said...
This comment has been removed by the author.
Anwar Zaidi said...

Mazmoon romanchak aur dilchasp hai.