Friday, December 13, 2019

"हमारे क़ातिल" | अनवर नदीम (1937-2017) | "Our Murderers" | Anwar Nadeem (1937-2017) | Translation: Saira Mujtaba

मौत की नींद से पहले भी इन्हें देखा था
आख़िरी बार यही लोग मिले थे हम से


अपनी तारीक-मिज़ाजी को सजाये रुख़ पर
अपनी उलझन को लपेटे हुए अपने सर पर
उंगलियां ज़ुल्म की, तस्बीह के दाने मजबूर
भोंडे माथे पे सजाये हुए चावल की लकीर
ख़ुद उड़ाते हुए कुछ ज़ौक़े-सलीबी का मज़ाक़
पीली चादर में समेटे हुए काली रूहें
अपने होटों पे सपेदी को लपेटे चेहरे









मौत की नींद से पहले भी इन्हें देखा था 
आख़िरी बार यही लोग मिले थे हम से। 

हमने फूलों की हंसी, चाँद की किरनें लेकर
जी में ठानी थी बसायेंगे महब्बत का जहां
बस यही लोग तभी आये ये कहने हमसे

ज़िन्दगी रस्म के संसार में आबाद करो
रूह के पाँव में ज़ंजीर-ए-इबादत डालो
कोहना अफ़कार की चादर को लपेटो सर से
और सजदे में झुकाओ ये महब्बत की जबीं। 

मौत की नींद से पहले भी इन्हें देखा था 
आख़िरी बार यही लोग मिले थे हम से। 

इन की बातों पे हंसे, हंस के यही हम ने कहा
हम नहीं ज़ौक़े-इबादत से पिघलने वाले
हम नहीं अपने इरादों को बदलने वाले
अपने कानों में फ़क़त दिल की सदा आती है
हम कहाँ दहर की आवाज़ सुना करते हैं। 
हम को क्यों रस्म के संसार में ले जाओगे
हम को क्यों कोहना रवायात से तड़पाओगे
हम हैं आवारा-मिज़ाजी के पयम्बर, यारो। 
हम से गर सीख सको, सीख लो जीना, यारो। 

मौत की नींद से पहले भी इन्हें देखा था
आख़िरी बार यही लोग मिले थे हमसे।

- अनवर नदीम (1937-2017)

Maut kī nīnd sé pahlé bhī inhéiṅ dékhā thā

Ākhirī bār yahī log milé thé ham sé

 

Apnī tārīk-mizājī ko sajāyé rukh par

Apnī uljhan ko lapété hué apné sar par

Ungliyāṅ zulm kī, tasbīh ké dāné majbūr

Bhoṅdé māthé pé sajāyé hué chāval kī lakīr

Khud uṛāté hué kuchh zauq-é-salībī kā mazāq

Pīli chādar méin lapété hué kālī rūhéiṅ

Apné hotoṅ pé sapédī ko lapété chahré

Maut ki nīnd sé pahlé bhī inhaiṅ dékhā thā

Ākhirī bār yahī log milé thé ham sé

 

Hamné phūloṅ kī haṅsī, chānd ki kirnéiṅ lékar

Jī méiṅ thānī thī basāyéiṅgé mahbbat kā jahāṅ

Bas yahī log tabhī āyé thé yé kahné hamsé

 

Zindagī rasm ké sansār méiṅ ābād karo

Rūh ké pānv méiṅ zanjīr-é-ibādat dālo

Kohnā afkār kī chādar ko lapéto sar sé

Aur sajdé méiṅ jhukāo yé mahabbat kī zabīṅ

 

Maut kī nīnd sé pahlé bhī inhaiṅ dekhā thā

Ākhirī bār yahī log milé thé hamsé

 

In kī bātoṅ pé hansé, hans ké yahī hamné kahā

Ham nahīṅ zauq-é-ibādat se pighalné vālé

Ham nahīṅ apné irādoṅ ko badalné vālé

Apné kānoṅ méiṅ faqat dil kī sadā ātī hai

Ham kahāṅ dahar kī āvāz sunā karté hain

Ham ko kyoṅ rasm ké sansār méiṅ lé jāogé

Ham ko kyoṅ kohnā ravāyāt sé taṛpāogé

Ham haiṅ āvārā-mizājī ké payambar, yāro!

Ham se gar sīkh sako, sīkh lo jīnā, yāro!

 

Maut kī nīnd sé pahlé bhī inhaiṅ dekhā thā

Ākhiri bār yahī log milé thé hamsé

 

I’d seen them before the eternal sleep of death,

These very people had met us at the final hour,

Decorating their historical pride on their faces,

Twining their worries on their heads,

Cruel fingers, helpless lie the rosary beads,

Embellishing a vermillion line of rice on their crude forehead,

Enveloping black souls with a yellow mantle,

Faces, donning a paleness on their lips,

I’d seen them before the eternal sleep of death,

These very people had met us at the final hour.

 

We had gathered the smiles of flowers with moonbeams,

And had pledged to inhabit a world full of love,

It was then when these people came to tell us,

Live life as per the wordly rituals,

Chain thy soul with the shackles of prayers,

Wrap thine head with the age-old worries,

And bow in prostration, thy brow of love.

I’d seen them before the eternal sleep of death,

These very people had met us at the final hour.

 

We retorted with a smile and said,

We aren’t going to melt with the taste of prayers,

We aren’t going to alter our beliefs,

Our ears pay heed to only the voice of the heart,

Why would you take us to the world of rituals?

Why would you flutter us with age-old worries?

We are the messengers of free-spiritedness.

I’d seen them before the eternal sleep of death,

These very people had met us at the final hour.


- Anwar Nadeem (1937-2017)

Translated from Urdu by Saira Mujtaba




No comments: